Rishto ne har qadam pe imtehaan liya, tanhai ne har mod pe dhokha diya. Zindagi se phir b shikayat nhi Kyunki, Zindagi ne “Aap†jaisa dost bhi to diya. | ||
Hum umidon ki dunia basate rahe, Vo bhi har kadam par aazmate rahe. Jab mahobbat k imtihaan mein marna pada, Humne jaan dedi aur vo kasmein khaate rahe. | ||
Ab na koshish karenge unhe bulane ki, jinki adat hai bin baat rooth jaane ki. vo chahe to bhool jayein humein sapna samaj kar, magar hamein adat nahin apno ko dil se bhulane ki. | ||
Dil ki dhadkan dhadka gaya koi, mere khwabo ko mehka gaya koi, hum to anjaane rasto par chal rahe the achanak hi pyaar ka matlab shikha gaya koi….!!!!!!!!! | ||
Mohabbat ki lahero pe kastiya chalane waale zara sambhal ke, mohabbat dariya hai sahil nahi, uthte hai kahi tofaan mohabbat ke samander me bhi, ager us se lad na sako to tum mohabbat ke kabil nahi. | ||
Zamane se nahin hum tanhai se darte hain, Pyar se nahin hum rusuvai se darte hain, Dil meih umang hai tujhse milne ki Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain | ||
Tere dil mein to armaan shayad paida bhi na hue ho Per mere yanha armaano ka woh kabristann, aaj bhi hai.. Dil lagane ki khata na karna ae dost, Dard milne ki saza, aaj bhi hai…. | ||
Woh aik shakhs jo humein zindagi se pyaara hai Baghair us ke wiraan yeh jahan sara hai Woh nahin janta ke uski zaat kya hai Wohi to hai jo mohabbat ka ek sitaara hai Yahi to ada hai jisne humein mara hai Woh kya tha,kya hai,kya hoga,kya khabar Yahi pata hai, woh jaisa bhi hai bas hamara hai | ||
Wo Rulakar Hans Na Paaya Der Tak Jab Mein Rokar Muskaraya Der Tak Bhulana Chaha Agar Usko Kabhi Aur Bhi Wo Yaad Aya Der Tak Bhuukhe Bachhon Ki Tassalli K Liye Maa Ne Phir Paani Pakaya Der Tak Gun Gunaata Jaa Raha Tha Ek Faqir Dhup Rehti Hai Naa Saaya Der Tak Wo Rulakar Hans Na Paaya Der Tak Jab Mein Rokar Muskaraya Der Tak | ||
Dono Baithe Thhe Jaise Bejan Tasvir, Nikle Jo Lafj, Badal Hi Gayi Taqdir, Koshishe Hain Mitane Kee In Haatho Ki Lakir, Tere Bandhan Mein Bandhe Hain, Jaise Koi Janjeer. |